Pages

Thursday, August 1, 2013

ALWIDA ALWIDA MAHE RAMAZAN

Tuh Ham se Rukhsat ho Chala
Aye Maahe Ramazan Alwida

Alwida Alwida Aye Maahe Ramazan

Qalb E Ashiq hai ab parah parah
Alwida Alwida Maahe Ramazan

kulfat e hijrat o furqat ne mara
Alwida Alwida Mahe Ramazan

Tere Ane se dil khush howa tha
aour zoq e ibadat berrha tha

Aah!ab dil pe hai gham ka ghalba
Alwida Alwida maahe Ramazan

Masjidon men bahaar aa gai thi
joq dar joq aatay Namazi

ho gya kam namazon ka jazba
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Tere deewane ab ro rehy hain
muztarib sab k sab ho rehy hain

haay ab waqt e rukhsat hai aaya
Alwida Alwida Maahe Ramazan

tera gham sab ko tarrpa reha hai
atishe shoq bharrka reha hai

phat reha hai tere gham men seena
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Bazme Iftar sajti thi kaisi!
khoob Sehri ki ronaq bhi hoti

sab saman ho gya soona soona
Alwida Alwida Maahe Ramazan

yaad Ramadan ki tarrpa rehi hai
aansuon ki jharri lag gai hai

keh reha hai yeh her aik qatra
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Dil k tukkre howe ja rehy hain
tere Ashiq maray ja rehy hain

ro ro kehta hai her ik becharaa
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Tum pe lakhon salam Maahe Ramazan
Tum pe lakhon salam Mahe Ghufran

jaao hafiz khuda ab tumhara
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Nekiyan kuch na ham ker seky hain
Aah! isiyan men hi din katay hain

Haay! ghaflat men tujh ko guzara
Alwida Alwida Maahe Ramazan

wasita tujh ko Meethy Nabi(SAW) ka
Hasher men ham ko mat bhool jana

Roz e Mehshar hamen bakhshawana
Alwida Alwida Maahe Ramazan

Jab guzer jain ge Maahe gyarah
Teri Aamad ka phir shor ho ga

kya meri zindagi ka bharosa
Alwida Alwida Maahe Ramazan

No comments:

Post a Comment